Some of my favourite Hindi film songs.
I like the songs for the lovely lyrics.
My all-time favourite Hindi film song Album is 'Aashiqui'.
Lovely, poetic lyrics by Sameer.
Remembered this when we were coming back in an auto from Pizza Hut, last evening. The autowallah for a change was playing Hindi songs and lucky me, I got a chance to listen to 'Nazar ke Saamne' and 'Tu Meri Zindagi Hai' from Aashiqui.
Some gems from 'Aashiqui'
Nazar Ke Saamne
Betaabi kya hoti hai poochho mere dil se
Tanha tanha lauta hoon main to bhari mehfil se
Tanhaai jeene na de bechaini tadpaaye
tumko main na dekhun to dil mera ghabraye
Tu Meri Zindagi Hai
Tuuuuuu... meri zindagi hai
Tu meri har khushi hai
Tu hi pyar tu hi chaahat
Tu hi aashiqui hai
Pehli mohabbat ka ehsaas hai tu
Bujh ke jo bujh na paai, vo pyaas hai tu
Tu hi meri pehli khwahish
Tu hi aakhri hai
Tu meri zindagi hai
Tu meri har khushi hai...
Aashiqui brought back fond memories of school life. I was in 10th class when Aashiqui was released. There was one of my classmates who had seen the movie a lot of times. After almost a year, I met him. The film was still running to packed houses.
I asked him how many times he'd seen the film and he answered he'd seen it 65 times!!!!
Aashiqui Lyrics.
Bas Ek Sanam Chahiye Aashiqui ke Liye
Vaqt ke haathon men sabakii taqadiiren hain
Aainaa jhuuthaa hai sachchii tasaviiren hain
JahaaN dard hai vahiin giit hai
JahaaN pyaas hai vahiin miit hai
(Lovely lyrics...)
Koi naa jaane magar jiine kii yahii riit hai
saaz kii zaruurat hai jaise, mausiqii ke liye
Bas ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye
Dheere dheere se meri zindagi mai aana
Dhire dhire se meri zindagi men aana
Dhire dhire se dil ko churaana
Tumse pyaar hame hai kitnaa jaanejaana
Tumse milkar tumko hai bataana
After Aashiqui, I liked the lyrics of 'Phir Teri Kahani Yaad Aayi' and 'Jism'
Gems from 'Phir Teri Kahani Yaad Aayi'
Lyrics by Sayeed Quadri
Tere Dar Par Sanam Chale Aaye
Tere dar par sanam chale aaye
Tu na aaya to hum chale aaye
Bin tere koi aas bhi na rahi
Itne tarse ke pyaas bhi na rahi
Ladkhadaaye kadam, chale aaye
Chale aaye, chale aaye
This is absolutely amazing...
Dil Main Sanam Ki Soorat Aankhon Mai Aashiqui De
Dil mein sanam ki surat, aankhon mein aashiqui de
Mere khuda mujhe tu ek aur zindagi de
Kaise karoon mohabbat do din ki zindagi mein
Yeh din to beet jaayenge yunhi hasi hasi mein
Jee bharke pyaar kar loon, aisi mujhe khushi de
Mere khuda mujhe tu ek aur zindagi de
Sau saal tak sanam ki aankhon mein doob jaaoon
Sau saal aur ho to usko gale lagaaoon
(Lovely, too good!)
Lyrics of Jism by Sayeed Quadri
Jaadu Hai Nasha Hai
Jaadu Hai Nasha Hai Madhoshiyan Hai
Tujhko Bhulake Aab Jaao Kahan
Dekhti hai jis tarah se teri nazrein mujhe
Main khud ko chupaao kahan
Jism - Awaarapan Banjaarapan
Lyrics by Sayeed Quadri
Awaarapan banjaarapan
Ek hala hai seene main
Har dam har pal bechaini hai
Kaun bhala hai seene main
Jaane yeh kaisi aag lagi hai
Is main dhuaan na chingari
Ho na ho us par kahin koi
Khwaab jala hai seene main
Jis raaste par tapta suraj
Saari raat nahin dhalta
Ishq ki aisi rah guzar ko
Hum ne chuna hai seene main
Awaarapan banjaarapan
Ek hala hai seene main
Kahan kise ke liye hai mumkin
Sab ke liye ek sa hona
Thoda sa dil mera bura hai
Thoda bhala hai seene main
Awaarapan banjaarapan
Ek hala hai seene mai
Sur - Lyrics by Nida Fazli
Kabhi Shaam Dhale to Mere Dil Main Aa Jaana
Kabhi shaam dhale to mere dil main aa jaana
Kabhi chaand khile to mere dil main aa jaana
Magar aana is tarah tum ki yahaa se phir na jaana
Tu nahin hai magar phir bhi tu saath hai
Baat ho koi bhi teri hi baat hai
Tum hi meri aankhen ho sunee tanha raahon main
Chaahe jitni doori ho tum ho meri baahon main
Kabhi shaam dhale to mere dil main aa jaana
Kabhi chaand khile to mere dil main aa jaana
Chalte Chalte - Lyrics by Javed Akhtar
Suno Naa, Suno Naa..
Tumne na jaana ke main deewaana
Lekar aaya hoon dil ka nazraana
Mere dil ki hai jo daastaan
Suno na suno na, sun lo na
Humsafar mujhiko chun lo na
Tum jo gumsum ho to main hairaan hoon
Yeh raaz kaise tumko bataaoon
Tum par marta hoon, main sach kehta hoon
Maangke dekh lo mujhse jaan
Suno na suno na, sun lo na
Hamsafar mujhiko chun lo na
Main bhi hoon tanha, tum bhi tanha ho
(Lovely)
Gar saath hum ho to socho kya ho
Pyaar humko bhi hai...
Pyaar humko bhi hai, pyaar tumko bhi hai
To yeh kya silsile ho gaye
Bewafa hum nahin, bewafa tum nahin
To kyoon itne gile ho gaye
Chalte chalte kaise yeh faasle ho gaye
Kya pata kahan hum chale
These are some of my favourite songs. What are yours?
<< Home