Writing some random shayaris that I remember...
Woh Aaina dekhte hai...
Woh Aaina dekhte hai aur
Yeh bhi dekhte hai ki koi unhe naa dekhe...
Unhe Ara-e-gesu se matlab...
Koi Deewaana Ban Jaaye Unki Bala Se...
Kahin kisi ko Mukammal Jahan Nahin Milta
Kahin Zameen to Kahin Aasma Nahin Milta...
Aisa banna-sawarna mubarak tumhe
Kam se kam itna to kehna hamaara maano
Chaand sharmayega chaandi raat mai
Yu na apni zulfon ko sawaara karo
Yahan kaun hai jinhe tauba ki mil gayi fursat
Ek Zindagi kam hai Gunaah karne ke liye...
From Madhushala...
Madiralay jaane ko
Ghar se chalta hai peenewaala
Kis path se jau
Asamanjas mai hai wvah bhola-bhala
Alag alag path batlaate sab...
Par mai yeh batlaata hu..
Raah pakad tu ek chala-chal
Paa jaayega madhushala
Hoshwalo ko khabar kya
Bekhudi kya cheez hai
Ishq kijiye phir samajhiye
Zindagi kya cheez hai...
(Ghazal. Also in Sarfarosh film. Sung by Jagjit Singh).
Tu is tarah se meri zindagi mai shaamil hai
Jahan bhi jau to lagta hai ki teri mehfil hai...
(Mohd. Rafi. 1981 film).
Badi Naazuk hai yeh manzil
Mohabbat ka safar hai...
(From Jogger's Park)
<< Home